Pathhshala Se Jab Laut Ta Hu Ghar Ke Liyae
Raaste Maie Roj Aata Hai Aek Moad
Aur Dikhti Hai Ek Lambi Sooni Sadak…
Dono Baju Lagi Hai Kaanto Ki Baad
Aur Bich Maie Simti Hai Yah Sadak
Baad Par Chhadkar Haste Hai Jangli Safed Phool
Aur Jara Se Hawa Ke Zokao Se
Sadak Par Bikharte Hai Yah Phool
Tabhi Ek Halki Se Mahek Aane Lagti Hai
Maie Daudta Hu Oos Khushbu Ka Pichha Karte
Hawa Maie Aur Bhi Mahek Badhhne Lagti Hai
Aur Maie Pahonchta Hu Mere Ghar Tak..
Ghar Ke Aangan Maie Khadi Meri Maa
Daudtae Huae Maie Ooske Galae Lagta Hu
Aur Pata Hai? Maie Tabhi Paata Hu Oos Khushbu Ka Raaz
Haa Wah Meri Maa Ki Mahek Hi To Hoti Hai
Jo Raah Maie Mera Intzaar Karti Rahti Hai.