Neend Ne Aankhon Se Jo Pehre Ko Hataya Hai
Koi Dil – Nasheen Dil Ko Bohot Yaad Aaya Hai
Waise To Yaadein Uski Roz Hi Aati Hai Lekin
Aaj To Jaise Ek Tufan Simat Aaya Hai
Pyar Ki Paribhasha Badli Hai Uske Aane Se
Subha Haseen Sham Rangeen Huwi Lagti Hai Uske Aane Se
Sang Apne Wo Jaise Ek Indra Dhanush Laya Hai
Bholi Bhali Surat Uski,Baatein Mithi Mithi Hai
Apne Andaz Se Usne Duniya Sari Jeeti Hai
Lagta Hai Mujh Ko Bhi Apne Rang Me Rang Ne Aaya Hai
Har Pal Mujhko Chede Hai,Har Pal Mujhe Sataye Hai
Bigdu To Manane Ke Liye Piche Piche Aaye Hai
Uske Sath Se Lagta Mujhko Ye Jahan Paraya Hai
Sunehri Zulfein Chikni Surat Aankho Me Ek Masti Hai
Sochu Uske Baare Me To Tanhai Mujh Ko Dhasti Hai
Chahat Ka Us Ki Mujh Par Ajab Khumar Chaya Hai
Iqraar Karna Aata Nahi Inqaar Wo Kar Pata Nahi
Dur Rehna Chahe Bhi To Mujhse Wo Reh Pata Nahi
Kehta Hai Maine Usko Apni Jaal Mein Phasaya Hai
Neend Ne Aankho Se Jo Pehre Ko Hataya Hai
Koi Dil – Nasheen Dil Ko Bohot Yaad Aaya Hai