Nazron Ki Gustakhiyon Ke Jamane Bahoot Yaad Aaye
Na Ban Sake Haqiqat Jo Fasane Bahoot Yaad Aaye
Dhoondhti Rahi Saaya Aankhein Sehra Ke Safar Mein
Dhoop Mein Teri Palkon Ke Shamiyanein Bahoot Yaad Aaye
Meri Raat Ki Gawaah Hai Bistar Par Padi Salwatein
Har Karwat Par Teri Baahon Ke Sirhaane Bahoot Yaad Aaye
Sharaab Na De Paayi Sukoon Beqarar Dil Ko Us Dam
Pyaase Labon Ko Tere Labon Ke Paimane Bahoot Yaad Aaye
Aaj Peeche Mud Ke Dekha Jo Jindagi Ke Safar Mein “Humtum”
Samjha Kiye Jinhe Apna Wo Begaane Bahoot Yaad Aaye