Nazarr Se Nazarr Jo Mill Gayi
Dhadkann Rukk Gayi
Anchall Sambhaalte Huye
Laboon Se Baat Fisall Gayi
Khamoshi Mein Sawaall Karte Huye
Madhoshi Se Lajawaab Karte Huye
Mujhko Mujhi Se Churaate Huye
Meri Aankhon Mein Machal Gayi
Woh Shararati Barq Si Nazar
Dil Se Thitholi Karti Si Nazar
Kuchh Bolte Huye, Kuchh Gungunate Huye
Badan Mein Tarannumm Si Pighal Gayi
Woh Dilrubaa Si Nazarr!
Mere Aarriz-O-Labb Ko Chuummte Huye
Meri Palkkon Pe Rukkte Huye
Nihaan Hasraton Ko Jagaate Huye
Maano Sargoshi Si Ghazal Gayi
Taa-Umr Ka Rabt Na Naata Thaa Us Se
Mujhse Raabta Badha, Lakiron Ko Badal Gayi
Mujhse Kehtaa Rahaa Sambhall Jaao -Ë—paras-‘
Khudd Uskki Nazarr, Meri Ho, Usko Chhal Gayi