Nazar Se Justaju Bekaar Nikali
Khud Apane Aap Se Do-Chaar Nikali
Kirad Ko Thi Ye Khush Fahami Ki Dar Hai
Pas-E-Deewar Bhi Deewar Nikali
Mujhe Hasarat Thi Jis Taab-E-Sukhan Ki
Wahi Shai Is Ki Bhi Dar Kar Nikali
Chutaa Aakhir Ko Duniya Se To Dekha
Mohabbat Hi Gale Ka Haar Nikali
Nigaaheun Jhuk Ga Iun Jab Khud Pasandi
Barahanaa Barasar-E-Darbaar Nikali
Nihaal-E-Fiqr Ki Shaakheun Namudaar
Qalam Hokar Bhi Kya Gulnaar Nikali
Bhala Hota Hai Kya Kahane Se ‘Haqi’
Chalo Kuch Khawahish-E-Izhaar Nikali