Nazar Nazaro Ki Bhasha Tumne Mujhe Sikhayi
Nazro Se Ijhaar Tumne Kiya
Nazro Se Ikraar Humne Kiya
Nazaro Ne Hi Hume Ek Kiya
Nazar Nazar Ki Baat Hai
Pehle Tumhari Nazre Mein Ek Kashish Thi
Woh Kashish Mere Pyar Ki Tapish Thi
Woh Tumhara Mujhe Dekh Kar Muskurana
Aur Mera Nazre Jhuka Kar Sharmana
Aaj Aur Kuch Nahi
Tumhari Nazre Hain Badli Badli Si
Jaise Mujhe Kuch Kahna Chahti Hain Sahmi Sahmi Si
Aaj Jaane Woh Pyaar Kahan Gaya
Jaane Woh Ek Dusre Par Rehne Wala Itebaar Kahan Gaya
Aaj Kyon Hum Dil Ka Haal Bayaan Karne Se Katrate Hain
Jaane Kyon Ek Dusre Ko Dekh Kar Nazare Churate Hain
Kya Nazro Ke Khel Ka Yeh Aakhri Padav Hai
Ya Hamare Pyaar Ka Aakhri Daav Hai
Chalo…Jaan Ek Nai Shuruvaat Karen
Is Baar Nazaro Ka Nahi
Jubaan Ka Aasra Le Ayr Ek Dusre Ki
Nazro Mein Pyaar Ka Basera Kar Le