Nabi Farma Gaye Hain: Tum Har Kaheen Ho
Kaheen Ho, Yaa Naheen? Leykin, Tum Yaheen Ho
Parindoun Ki Sadaa Mein Mouzood Ho Tum
Waqt Ki Har Adaa Mein Mouzood Ho Tum
Justjoo Ki Talab Tah-E-Nigaah Ho: To,
Kadaa Ho, Maykadaa Ho, Mouzood Ho Tum
Khojaney Ko, Khojataa Hoon Tumhain Mein Bhii
Khojtey Hain Yaar!! Leykin, Tum Yaheen Ho
Paas Ho, Fir Paas Kyoun Aatey Naheen Tum
Deed Hai, To Nazar Kyoun Aatey Naheen Tum
Hamaaree Yeh Nisbateyn Hain Kis Tarah Keen
Iltijaayen Karoon, Par Aatey Naheen Tum
Kyaa Tamaashaa Hai? Samajh Paataa Naheen Mein
Mujhey Shak Hai; Yaar! Leykin, Tum Yaheen Ho
Mujhey Lagtaa Kabhee, Saaqee Baney Ho Tum
To Kabhee, Naaseh Paakee Baney Ho Tum
Takhliyah Hoon: Chhorh Peechhey Gaye Ho Tum
Aakhiree Gamkhwaar Baaqee Baney Ho Tum
Beykhudee Mein, Tumhain Paataa Hoon Bagal Mein
Door Hai Har Diwaar; Leykin, Tum Yaheen Ho