Na Jaane Kitne Barson Se Mai Inhi Jalte Hue
Khwaabon Ki Basti Mein Ghumta Aaya Hun
Mere Chehre Pe Jami Yeh Syaah Raakh Subut Hai Ke
Mai Aaj Bhi Un Jalte Hue Khwaabon
Ko Bachane Ki Koshish Mei Laga Hun.
Na Jaane Kitne Log Inhe Yun Hi Jalta
Dekh Naye Aashiaano Ki Raah Chal Diye
Shayad Kuch Ishq Sa Hai Inse,
Shayad Kuch Mohabbat Si Hai Inse
Ke Yakeen Hai Ke Koi Na Koi Khwaab To
Zinda Bachega Jo Fir Se Mera Tuta Aashiyaana Banega
Shayad Kahenge Aap ,Shayad Kahenge Aap Ke”Miyaan Bahut Ziddi Ho Tum”
To Janaab Jawaab Mein Mai Sirf Itna Kahunga
Jo Kabhee Laut Aayega Mera Sanam-2
To Kya Kahunga Mai Unhe
Maanaa Ke Yeh Aag Bhi Usi Ne Lagai Hai,
Maana Ke Woh Bewafai Ki Raah Par Hai Nikle
Jo Kabhi Thokar Lage Aur Laut
Aayen Woh Fir Se Raah-E -Wafa Pe
To Kum Se Kum Mai Unhe Fir Se Unka
Wahi Aashiyaana To De Sakunga