Na Jaane Aaj Kal Kyu Dil Karta Hai Ki,
Nadiyaa Ki Lehron Ki Tarah Teri Baahon Main Machal Jaau,
Tere Seene Per Mund Kar Ankhein
Khushbu Ki Tarah, Fiza Mai Bikhar Jaau
Tere Labo Par Machalta Jo Sagar Maine Dekha Hai,
Usme Se Ek Oak Bharun Aur Pee Jaau,
Teri Najaron Se Barsti Pyar Ki Barish Mein,
Apne Tan Man Ko Bheego Aaun,
Kabhi- Kabhi Mujhe Legta Hai Ki Main
Ek Chotti Si Natkhat Boond’ Hoon
Aur Tu Ek Shant Thahri Hui Si Jheel Hai.
Agar Tu Ijazzat De Toh Toh Bata Kya Main Tujhme Kho Jaau