Mohobbat Roshni Phaila Rahi Hai
Mohobbat Naghmagi Barsa Rahi Hai
Ye Kaisa Raag Chaira Gul Badan Nay
Guloon Jaisi Jo Khushboo Arahi Hai
Ye Bheeni Bheeni Si Mehkar Kia Hai
Naseem-E-Subha Kyun Lehra Rahi Hai
Dilon Ko Wo Jila Bhi Bakhshti Hai
Nazar Ka Noor Bhi Chamka Rahi Hai
Ye Raqt-E-Qalb Mein Aisi Goundhi Hai
Bohut Jazbat Ko Garma Rahi Hai
Ye Phailati Hai Wosut Dil Ke Ander
Chaman Mein Phool Bhi Mehka Rahi Hai
Ye Kis Muktil Ki Phir Taiyariyaan Hain
Taalok Mein Jo Garmi Arahi Hai
Jise Jur-O-Jafa Se Tha Taaluk
Nazar Ab Wo Karam Farma Rahi Hai
Ada Mein Qeher Bhi Hai Meher Bhi Hai
Zia Dil Ko Nazar Samjha Rahi Hai”