Mohabbat To Thi Teri Is Dil Mein Na Jaane Kab Se
Magar Aaj Ye Dilse Nikalkar Baahar Aayi Hai
Dekha Tha Jab Maine Pehli Baar Tujhe To Laga
Jaise Koi Pari Jannat Se Utar Aayi Hai,
Dil To Dhadakta Tha Roz Is Seene Mein
Magar Dhadka Zoron Se Jab Tune Nazre Uthaayi Thi
Tha Kaayal Teri Har Adaa Ka Pehle Se Hi,
Hua Qatl Jab Ye Kaatilana Nazrein Tune Jhukaayi Thi,
Padti Hai Jab Boonde Barsaat Ki Tere Sunhre Tan Par
Dhadakta Hai Dil Zoron Se Aur Hum Dil Ko Thaam Lete Hain,
Dekhte Hain Phir Tere Lehraate Dupatte Ki Taraf,
Aur Karke Aankhein Band Sirf Tera Naam Lete Hain,
Chalti Hai Jab Tu Lehraa Ke Sadak Par
To Kuch Pal Ke Liye Samaa Thehar Sa Jaata Hai,
Dekhle Jo Kisi Ko Mud Ke Ek Baar Tu,
Woh To Bin Piye Hi Behak Sa Jaata Hai,
Muskuraati Hai Jab Tu Khil-Khilaakar
To Khijaan Mein Jaise Bahaar Aa Jaati Hai,
Ho Jo Tu Udaas Ek Pal Ke Liye Bhi,
Khuda Gawaah Hai Meri Jaan Nikal Jaati Hai,
Honge Jab Hum Aamne Saamne To
Woh Nazara Kisi Jannat Se Kam Na Hoga,
Mil Jaaye Jo Ek Lamha Bhi Tere Saath Ka Mujhe To Kasam Khuda Ki
Umrabhar Tanha Rehne Ka Bhi Gam Na Hoga……………..