Mohabbat Ke Safar Me Chalne Waale Raahi Suno
Mohabbat To Hamesha Jazbaaton Se Ki Jaati Hai
Mahaz Shaadi Hi Mahabaat Ka Sahil Nahi
Manzil To Door Isse Bahut Door Jaati Hain
Jin Nigaah Me Muqaam-E-Ishq Shaadi Hai
Un Nigaah Me Faqat Hawas Badan Ki Hai
Ease Hi Log Mohabbat Ko Daag Karte Hain
Kiyonki Inko Talaash Ek Gudaaz Tan Ki Hai
Jis Mohabbat Se Hazaron Aankh Jhuk Jaayen
Us Mohabbat Ke Saadiq Hone Me Shaq Hai
Jis Mohabbat Se Koi Pariwaar Ujdhe
Wo Mohabbat Nahi Ek Lap Lapaati Vark Hai
Mere Lafzonme Mohabbat Wo Chirag Hain
Jiski Kirnonse Zamana Roshan Hota Hai
Jiski Lau Dunia Ko Raahat Deti Hain
Na Ki Jisse Dukhi Ghar Nasheman Hota Hain
Mere Dost! Jis Mohabbat Se Pashemaan Hona Padhe
Main Use Hargiz Mohabbat Kah Nahi Sakta
Nazar Jiski Wajah Se Mil N Sake Zamane Se
Main Easi Mohabbat Ko Saadik Kah Nahi Sakta
Main Bhi Mohabbat Ke Khilaaf Nahi Hoon
Main Bhimohabbat Ko Khuda Maanta Hoon
Fark Itna Hain Ki Main Ise Marz Nahi
Zindagi Sawarne Ki Dawaa Maanta Hoon
Saaf Harfon Me Mohabbat Us Aaine Ka Naam Hain
Jo Haqiqat Jivan Ki Hanskar Qabool Karwata Hain
Aadmi Jiska Tassvbur Bhi Nahi Kar Sakta
Mohabbat Ke Fair Me Wo Kar Guzar Jata Hain