Mohabbat Karnay Waalay Dill
Bohat Hassaas Hotay Hain
Bas Un Ka Aik Hee Mehwar
Bas Un Ka Aik Hee Markaz
Bas Un Ki Aik Hee Manzil
Bas Un Ki Justujoo Ka Or Tarap Ka
Aik Hee Haasil
Unhen Bas Aik Hee Dhun Hai
Khudaa Mehboob Ko Un Ke
Hamesha Shaadmaan Rakhay
Na Us Ka Dil Kabhi Tootay
Na Koi Saanihaa Guzray
Koi Gham Choo Nahi Paaiy
Udaasi Paas Na Aaiy
Mohabbat Karnay Waalay Dil
Bohat Hassaas Hotay Hain
Mohabbat Karnay Waalay Dil
Kabhi Sodaa Nahi Kartay
Na Koi Shart Rakhtay Hain
Na Un Ko Muaawzay Ki
Hirs Hoti Hai
Kisi Rad-A-Amal Se Ya Badal Se
Un Ko Kaya Matlab?
Anaa Se Un Ka Kayaa Rishtay?
Jafaa Se Kayaa Ilaaqa Hai?
Unhen To Bas Aik Hee Dhun Hai
Khudaa Mehboob Ko Un Ke
Hamesha Shaadmaan Rakhay
Hamesha Jaavidaan Rakhay
– Raheel Chohan