Merii Vaadii Men Vo Ik Din Yuun Hii Aa Nikalii Thii
Rang Aur Nuur Kaa Bahataa Huaa Dhaaraa Ban Kar
[Vaadii=valley; Nuur=light]
Mahafil-E-Shauq Men Ik Dhuum Machaa Dii Us Ne
Khalvat-E-Dil Men Rahii Anjuman-Aaraa Ban Kar
[Mahafil-E-Shauq=gathering Of Love]
[Khalvat-E-Dil=solitude/loneliness Of The Heart]
[Anjuman-Aaraa=one Who Adorns A Meeting]
Sholaa-E-Ishq Sar-E-Arsh Ko Jab Chhune Lagaa
Ud Ga_ii Vo Mere Siine Se Sharaaraa Ban Kar
[Sar-E-Arsh=seventh Heaven; Sharaaraa=spark]
Aur Ab Mere Tasavvur Kaa Ufaq Roshan Hai
Vo Chamakatii Hai Jahaan Gam Kaa Sitaaraa Ban Kar
[Tasavvur=imagination; Ufaq=horizon]