Meri Khirki Ke Bahir Rooz Ik Raat Sohani Atti Hai
Ik Chand Naya Nikulta Hai Ik Roshan Chandni Atii Hai
Ik Raat Hum Ney Bhi Dua Ki Sujdey Mein Bahut Ahh-O-Buqa Ki
Is Chand Ko Keh Do Hum Ney Bhi Tu Is Dil Mein Koi Basaya Hai
Who Chand Sey Chehre Wala Koi Roshan Ratein Laya Hai
Mere Sooney Kamre Mein Jaisey Chandni Dheere Dheere Aye
Jane Kya Khaab In Ankhoon Key Jagein Kaisey Kaisey Turpaye
Ik Aas Ajab See Jagi Hai Jis Sey Din Aur Raat Mehkte Hein
Is Aas Is Yaad Mein Pyare Sey Mere Mun Key Panchi Chehkte Hein
Mera Dil Chahe Yeh Chand Kabhi Bhi Ojhal Na Ho In Ankhoon Sey
Chahe Durr Rahe Par Mein Us Ko Dekhoon Bojhal Bojhal Sansoon Sey
Is Mein Meri Khata Kya Hai Mere Dil Ka Haal Hua Kya Hai
Mein Ney Bhi Tu Rub Sey Manga Hai Ik Chand Sey Chehre Wala Koi
Par Aey Pagal Deewani Woh Chand Hai Koi Tara Nahin
Woh Hai Mun Ka Ik Supna Ah! Lekin Who Tumhara Nahin
Ub Is Dil Key Behlane Ko Rah Yeh Sochi Hai Akhir
Hum Rooz Takte Hein Us Ko Jub Meri Khirki Key Bahir
Ik Raat Sohnai Atii Hai Woh Chand Naya Nikulta Hai
Woh Roshan Chandni Atti Hai