Meri Aankho Ne Dekha Ek Aisa Nazara
Badak hoobsurat Bada Hi Tha Pyara
Thi Aankho Se Aankhe Mili Rahti Har Dam
Nahi Maut Ka Bhi Tha Unko Zara Ghum
Yu Lagta Tha Jaise Ho Karte Ishare
Thi Sumsaan Waadi Aur Wo Be Sahaare
Nahi Deen Wo Dunya Ki Unko Khabar Thi
Un Dono Ki Bas Ek Si Hi Umar Thi
Waise To Wo Do The Par Ek Jaan The
Wo Ek Doosre Ke Dilo Me Nehaan The
Ye Ek Raaz Tha Kya Thi Unki Kahaani
Thi Kaisi Haseen Unki Dunya Rumaani
Ho Dhoop Ya Barfili Sardi Ki Raate
Khula Aasmaan Ho Ya Sawan Ki Raate
Khiza Ho Ya Rang-E-Bahaaro Ka Mausam
Yu Aa Aa Gaye Kitne Madhosh Sawan
Ye Sab Dekh Main Bhi Yu Hairaan Bada Tha
Unhen Pata Har Roz Usi Hi Jagah Tha
Yu Pake Wo Aahat Na Jab Chaukte The
Na Hilte Zara The Na Mud Dekhte The
Jo Phir Jaake Nazdeek Se Unko Dekha
To Phir Jaa Kahin Us Kahani Ko Samjha
Wo Traashe Hue Sang-E-Mar Mar Ke But The
Thi Nazre Mili Unki Lekin Wo Chup The
Ye Hi Raaz Tha Ye Thi Unki Kahaani
Thi Aisi Haseen Unki Dunya Rumaani