Mere Saanam Tu Mujh Pe Itna Karam Kar De
Apne Dewane Pe Bas Tu Apni Ik Nazar Kar De
Chahta Hoon Ik Baar Tera Jalwa E Husn Dekhna
Jo Basi Hai Nazaron Mein Raat Tu Saher Kar De
Julas Rhi Hai Tamn-Na Meri Hijr Ki Dhup Mein
Apne Gesuyon Ki Chao Mujh Pe Magar Kar De
Pa Lunga Mein Jaanat E Jahaan Bas Ik Pal Mein
Parda-E-Ruksaar Ko Tu Be-Parda‚  Agar Kar De
Karna Chahta Hoon Aisa Nasha Jo Na Tute Kabhi
Apni Masti-E-Nigah Mere Naam Janejigar Kar De
Bin Dekhe Tujhe Mein Har Waqt Tera Dedaar Karu
Adayon Ka Apni Sanam Mujhpe Aisa Asar Kar De
Dil Kre Tujhe Chupa Lu Duniya Ki Har Buri Shai Se
Aa Mere Agosh Mein Zindgi Tamam Basar Kar De
Barsa Ke Apne Pyar Ki Barish Ko Mere Humnaseen
Mud’daton Ke Iss Pyase Sehra Ko Samandar Kar De
Kab Se Tadap Rha Hoon Teri Saanson Ki Mehak Ke Liye
Zamen Ke Zarre Ko Aaj Chu Kar Isse Ambaar Kar De
Dekha Hai Sapna Tere Sath Pyare Se Ashiyane Ka
Mere Haseen Khwaab Ko Haqiqat Mere Dilbhar Kar De !