Mere Khwaabon Kii Jannat Kaa Nazaraa Hain Teri Aankhen
Hujuum-E-Gam Mein Khushiyon Kaa Ishaara Hain Teri Aankhen
Yeh Pech-O-Kham Jo Zulfon Kaa Kabhi Maathe Pe Lehraaye
Jabeen-E-Arsh Pe Goya Ghataa Kaali Si Bal Khaaye
Teri Baaten Hain Jaise Chaandii Ta’riikh Raaton Mein
Tabassum Ye Tera Jaise Kii Sehra Mein Ho Barsaatein
Tujhe Har Rang Har Andaaz Mein Maine Hasiin Paaya
Bohat Hain Maahjabiin Dekhe Kahiin Tujhsa Nahiin Paaya
Tu Woh Tasveer Hai Jiska Mussavir Khud Bhi Hairaan Hain
Tu Kya Hai Khud Naeen Tu Jaan’ti, Haaye , Itni Naadaan Hain
Mujhe Yeh Ilm Hai Tumne Bohat Sadme Uthaaye Hain
Tumhari Zeest Par Haavi Gham-E-Dauraan Ke Saaye Hain
Baraa Jee Chahta Hai Tujhko Baahon Mein Chhupa Luun Main
Tere Har Dard Ko Apne Kalejey Se Lagaa Luun Main
Tere Pairon Ke Kaante Apni Palkon Se Uthaa Luun Main
Meri Jaanaan Jo Ho Mumkin Tujhe Apna Banaa Luun Main
Muhabbat Tujhse Hai Itni Ke Main Batlaa Nahiin Sakta
Tujhe Main Chaah To Sakta Huun Lekin Paa Nahiin Sakta
Ummiidon Ke Khilonon Se Main Jee Behlaa Nahiin Sakta
Tujhe Main Chaah To Sakta Huun Lekin Paa Nahiin Sakta