Mere Khayal Se Tum Itni Khubsurat Ho
Teri Ek Jhalak Pane Ki Jaise Hasrat Ho
Jahan Tere Rukhsar Ko Sajde Karta Hai
Hum Bhi Dua Karte Hai Aisi Hi Koi Murat Ho
Teri Sadgi Par Koi Kaise Na Khayal Hoga
Ruh Bhi Fanah Hojaye Qayamat Bhi Ajaye
Sanso Main Woh Kabhi Khushbu Na Rahe
Tum Hi Junoon Tum Hi Zarrorat Ho
Teri Ek Ahat Par Sanso Ki Raftar Tham Si Jati Hai
Ta Qayamat Tak Yeh Silsilla Chalta Rahen
Dua Hai Us Rab Se Fanahe Waqt Tak Samne Yeh Surat Ho
Tasavoor Bhi Tujh Se Puche Woh Tasveer Kounsi Hai
Hum Tasavoor Se Kahete Rahen Woh Koi Aur Nahi
Khushbu Bhi Jis Se Dar Amad Hoti Hai Woh Husn Yaar Hai
Na Hum Par Sitam Dhaho Ke Sitm Bhi Hum Par Rahem Kare
Najane Kyo Uthte Hai Hath Dua Ke Liye Yeh Sitam Jari Rahen
Dar,Dar Khaq Chanoge Phir Kuch Bhi Hasil Nahi Naveed
Anjame Ulfat Ki Raahen Hamesha Se Rahi Saqt
Najane Kyon Phir Bhi Qadam Chalte Hai Us Rah Par
Jis Ki Khaq Chan To Li Hum Ne Umeed Ab Bhi Iska Koi Hasil Ho