Mere Dikhave Mein Voh Baat Nahi Ki Mein Tere Samne Aajaoon
Mein Itna Bhi Khaas Nahi Ki Tujhe Pasand Aajaoon
Iss Liye Apni Chahat Ko Dabaye Likhta Hun
Kho Na Doon Mein Tujhko Baas Issi Baat Se Darta Hun
Meri Chahat Ne Hamesha Bewafayee Ka Anjaam Dekha Hai
Pyaar Mein Maine Gam Ki Parchaiyon Ko Dekha Hai
Achcha Hai Aaj Ki Mein Tujhse Rubaru To Nahi
Achcha Hai Aaj Ki Apni Koi Guftugu To Nahi
Mein Tujhe Pasand Aaoon Ye Zaruri To Nahi
Tera Pyaar Meri Chahat Ka Anjam Ho Ye Zaruri To Nahi
Tu Hai, Kafi Hai Mere Jine Ke Liye
Mere Bagair Tere Zindagi Adhoori To Nahi
Mein To Kuch Bhi Nahi
Mohabbat Mein To Kitno Ne Kya Kya Hai Kiye
Lafz To Bahana Hai
Shayad Ye Kam Padjye Meri Chahat Ko Bayan Karne Ke Liye
Ye Lafzein Akhri Hai, Iske Baad Mein Na Likhungga
Tu Naraaz Na Hona Mujhse Yehi Umeed Mein Rakhunga
Teri Nazaar Jab In Lafzon Ko Pad Rahi Hongi
Tere Nagahon Ke Aas Paas Hi Mein Rahunga