Meray Khuwabon Mein Haseen Chehray Wali Anjaan Se Larki Rehti Hai
Kabhi Nazein Milati Hai Kabhi Nazrein Churati Hai
Kabhi Dewana Karti Hai Kabhi Pagal
Kabhi Nagin Se Lat Se Khaylti Hai Darati Hai
Kabhi Masoom Sa Chehra Bana Kar Saham Jaati Hai
Kabhi Anchal Samaitti Hai Kabhi Khud Simat Jaati Hai
Kabhi Chaltay Hi Chaltay Thora Sa Ruk Se Jaati Hai
Kabhi Aabroo Churati Hai Kabhi Palkein Jukati Hai
Kabhi Masoom Sa Chehra Bana Kar Saham Jaati Hai
Kabhi Khamoosh Se Khamoosh Chup Se Rehti Hai
Kabhi Chalti Hai Latak Matak Ke Chalti Hai
Kabhi Payal Ki Cham Cham Se Neendon Ko Urati Hai
Kabhi Bas Saath Rehnay Ke Jhotay Waaday Karti Hai
Kabhi Choti Se Choti Baat Pe Rooth Jaati Hai
Kabhi Dosti Banti Hai Tu Saaray Dukh Baantti Hai
Kabhi Hijr Mein Akela Sa Tanha Sa Chor Jaati Hai
Kabhi Gairon Se Hans Hans Kar Baatein Karti Hai
Kabhi Begana Karti Hai Kabhi Apna Banati Hai
Isi Liye Areeb Itna Mujh Ko Bhaati Hai
Apni Cheezon Pe Mera Naam Likhay Jaati Hai
Ankhon Hi Ankhon Mein Dil Ko Har Baat Kehti Hai
Meray Khuwabon Mein Haseen Chehray Wali Anjaan Si Larki Rehti Hai