Mera Ye Prem Kaisa Hai Amrit Ki Boondon Jaisa Hai
Magar Mai Kabhi Ek Boond Bhi Chakh Naa Paaya
Apne Dil Ki Baat Tumse Kah Nahi Paaya
Aise Samay Me Maine Ek Dost Paaya Naam Usne Apna Chaand Bataya
Usne Mujhe Bahut Samjhaya Mujhe Jeevan Marg Bataya
Himmat Pakar Maine Apni Priyatam Ko Apne Dil Ka Haal Bataya
Magar Javaab Me Maine Naa Paya
Hai Ye Dhoka Maine Kaise Khaya
Ye Mujhe Samajh Me Ab Aaya
Jis Chaand Ko Galti Se Mai Apna Dost Samajh Baitha
Kambakht Vo Chand Hi Meri Priyatam Ko Chandni Samajh Baitha!
Hai Maine Khaya Dhoka
Mere Jeevan Me Chaaya Andhera
Dukh Ke Baadlon Ne Daala Dera
Vo Chand Bhaaga Aasma Par
Pachtava Nahi Use Par
Chand Ki Roshni Mujhe Beete Lamhon Ki Yaad Dilati Hai
Uspar Daag Uski Chori Darshati Hai
Ab To Ek Hi Hasrat Hai Mere Dil Me
Ke Suraj Se Karna Mujhe Saamna Hai
Jala Kar Mujhe Khak Kar De Bus Yahi Ek Kamna Hai