Mein Kabhi Idhar Toh Kabhi Udhar
Mein Kabhi Zameen Pe Toh Kabhi Asmano Par…
Mein Khoyi Khoyi Si Kabhi Toh Kabhi Sambhlii Hui Ghar Par..
Mein Khamoshi Kabhi Toh Kabhi Zharno Ki Zharr..Zharr..
Mein Kabhi Khayal Bujha Bujha Sa Toh Kabhi Hasin Vaadiyon Ka Manzarr…
Mein Kabhi Berang Maahaul Toh Kabhi Besabab Mehekti Nazar
Mein Geet Tufanni Toh Kabhi Shh Shaant Samandarr
Mein Arzu Machli Machli Si .Kabhi Toh Kabhi Sehmi Hui Hulchul
Mein Saawwan Rimzim Kabhi Toh Kabhi Sukhe Patton Ki Sarr Sarr…
Mein Behti Hui Badliyan Kabhi Toh Kabhi Thehra Hua Aanchal
Mein Kabhi Chhoti Si Masoom Kali Toh Kabhi Badaa Sa Bargad..
Mein Saaya Kabhi Sangeet Ka Toh Kabhi Rango Ka Sagar
Mein Nadi Ka Bahav Kabhi Toh Kabhi Lehron Ki Atkhal
Mein Halki Halki Mulayam Hawa Kabhi Toh Kabhi Bedard Patthar
Mein Sundar Sapna Kabhi Toh Kabhi Bhikra Hua Mukaddar
Mein Bechein Mahobatt Kabhi Toh Kabhi Yaadon Ka Anchaha Assar
Mein Kabhi Zindagi Zindadil Toh Kabhi Ruka Ruka Sa Safar!
Mein Kabhi Ek Prashn? Khudpar Toh Kabhi Khud Ek Uttar!