Mehfil Mein Wo Humse Nazar Churaate Rahe
Idhar Udhar Dekhkar Nazar Milaate Rahe
Na Thi Unme Himmat Na Huii Humse Jurrat
Kursee Pe Baithe Ungliyaan Chabaate Rahe
Unki Zulfoon Ke Pech O Kham Main Uljhe Rahe
Adaa Pe Adaa Wo Hume Dikhaate Rahe
(Pech O Kham=complexity, Curls In Hair)
Kahoon Komal Phool Ya Kaanch Ki Gudhiya
Wo Sharm Se Apni Hume Tadpaate Rahe
Itna Bhoolapan Itni Saadgee Thi Unme
Baat Bhi Wo Humse Karne Ghabraate Rahe
Ghamza Ya Ishwa Ki Koee Adaa To Na Thi
Jaane Kyon Wo Humara Dil Dhadkaate Rahe
(Ghamza=amorous Glance/plsyful Galnce, Ishwa=coquetry, Flirting)
Kab Hogi Mulaqaat Kab Bade Ye Baat
Beech Ke Khaar Intezaar Karvaate Rahe
Shamma E Bazm To Bemout Na Thi Moin
Laash E Armaan Ko Kyon Jagaate Rahe