Main Har Us Cheez Se Jalta Hoon,
Jo Chhooti Hai Meri Mohabbat Ko
Jalta Hoon Main Us Pani Se,
Jo Sar Se Kadmo Tak Unko Bhigota Hai,
Aur Bina Kisi Archan Ke Unko, Kamsini Se Chhoota Hai
Jalta Hoon Main Us Kaajal Se,
Jo Unki Khubsoorat Aankhon Ko Sajaata Hai,
Sajaate Hue Unki Aankhon Ko, Aankhon Me Hi Bas Jata Hai
Jalta Hoon Main Us Jhumke Se,
Jo Kaano Me Unke Jhoolte Hain,
Saari Baaten Kahata Unse, Aur Gaalon Ko Choomta Hai
Jalta Hoon Main Us Laali Se,
Jo Apne Labon Par Wo Lagaati Hai,
Jin Pankhuriyon Ko Hum Chhoo Bhi Na Sake, Unhen Wo Aur Laal Kar Jati Hai
Jalta Hoon Main Us Dupatte Se,
Jo Unke Gale Par Saja Rahata Hai,
Sajne Ke Bahane Unke, Seene Se Lipta Wo Rahata‚  Hai
Haan!‚  Jalta Hoon Main Har Us Cheez Se,
Bas Unko Jo Chhoo Leti Hai,
Meri Kismat To Dhool Jaise Bhi Nahi,
Jis Par Kadam Rakh Wo Chalti Hai
Main Har Us Cheez Se Jalta Hoon,
Jo Chhooti Hai Meri Mohabbat Ko