Lab-E-Khaamosh Se Izhaar-E-Tamannaa Chaahe
Baat Karne Ko Bhii Tasveer Kaa Lehjaa Chaahe
Lab-E-Khaamosh Se Izhaar-E-Tamannaa Chaahe
Tu Chaale Saath To Aahat Bhii Na Aaye Aapnii

Darmeyaan Ham Bhii Na Ho Youn Tujhe Tanhaa Chaahe
Lab-E-Khaamosh Se Izhaar-E-Tamannaa Chaahe
Khwaab Mein Roye To Ehsaas Ho Sairabi Kaa
Ret Par Soye Magar Aankh Mein Dariyaa Chaahe
Lab-E-Khaamosh Se Izhaar-E-Tamannaa Chaahe
Aise *Tairaak Bhii Dekhe Hain ‘Muzaffar’ Hamne
*Garq Hone Ke Liye Bhii Jo Sahraa Chaahe
Lab-E-Khaamosh Se Izhaar-E-Tamanna Chaahe
Baat Karne Ko Bhii Tasveer Kaa Lehjaa Chaahe
Lab-E-Khaamosh Se Izhaar-E-Tamannaa Chaah