Kya Kahu,
Kya Kahu, Kaise Kahu,
Dil Ki Baat Kya Dhadkano Se Kahu,
Dhak Dhak Ki Aawaz Mein Aaj Kiska Ye Shor Hain,
Dil Mujhe Kise Dekhne Ke Liye Kar Raha Majboor Hain,
Hole Hole Dhire Dhire Kiske Kadam Meri Taraf Bad Rahe Hain,
Mere Pichhe Mudte Hi Woh Khushbu Ban Ke Hawa Mein Kyun Sehnai Ban Gunj Rahe Hain.
Ye Kaisa Jaadu Hain Jo Har Pal Meri Khumari Bada Raha Hain,
Ye Kaisa Nasha Hain Jo Mujhe Harpal Behka Raha Hain,
Ye Kiski Nazar Hain Jo Mujhe Apne Kareeb Bula Rahi Hain,
Kaun Hain Woh Kaisa Hain Woh?
Kya Koi Khwab Hain,
Kya Meri Kalpana Hain,
Jo Bhi Hain Woh Us Se Mujhe Milna Hain,
Khud Ko Bhula Ke Uske Ehsaaso Mein Kho Jaana Hain,
Kya Kahu Ab Meri Khamoshi Sab Nazro Se Keh Rahi Hain,
Jo Labo Se Kuch Na Kehkar Nazro Se Dil Ke Saare Raaz Khol Rahi Hain
Madhyam Hain Chandni Chaand Bhi Deewana Hain,
Aaj Us Ajnabee Anjaane Tak Dil Ki Khabar Pahuchana Hain
Kora Tha Jo Lamho Ka Panna Aaj Usmein Kai Rang Bhar Gaye Hain,
Khali Tha Jo Dil Ka Aaina Aaj Usmein Uski Tasveer Aa Ke Sama Gayee Hain
Raat Ki Raagini Aaj Makhmali Si Chunar Ode Taaro Ki Doli Main Jaa Ke Baith Gayee,
Pata Nahin In Thandi Hawao Se Mere Baarein Mein Kya Keh Gayee,
Kya Kahu Deewangi Aaj Ehsaaso Mein Ja Chhupi Hain
Jisko Kabhi Dekha Hi Nahin Us Se Milne Ki Gujarish Kar Rahi Hain
Kya Kahu,