Kuch Samay Pehle Ki He To Baat Thi
Ek Ajnabi Aya Tha
Is Jeewan Mein
Kuch Sapne Kuch Ashayen Liye
Dekha To Aankhein Chupke Se Kuch Kehne Lagi
Mann He Mann Banane Lagi Kuch Dastan
Silsila Badta Gya Mulakat Ka Yun He
Dil Tha Dil He To Tha
Jane Kab, Kahan, Kaise Ban Gya Woh Zindgi Ka
Ahem Hissa Wo Hissa
Jo Alag Nahi Hota
Sanse Unke Liye Chalne Lagi Thi
Dhadkan Bhi To Unki Ho Chali Thi
Aankhein To Jaise Bus Unke Liye Bani Thi
Phir Ek Din
Zindgi Ka Woh Mod Bhi Aya
Socha Na Tha !
Khwaabon Ka Ashiyana Yun Bikhar Jayega
Ajnabi Tha Ajnabi He To Tha
Chala Gaya Zindgi Cheenkar
Aankhon Mein Aansu Bharkar
Dil Ko Yadon Ki Nayi Tasveer Dekar
Par Ab Sochti Hoon
Zindgi Ye Khwab Tha Ya
Khwab Hoga Shayad
Zindgi Kya Tha Woh?