Kuch Saal Pehle Ki Baat Hai Yeh
Jab Dekha Pehli Baar Use
Yun Laga Jaise Koi Apna Mil Gaya
Jag Ti Hui Aakhon Ko Koi Sapna Mil Gaya
Dil Mein Ek Aas Liye Gaya Mein Unke Pass
Dhadkane Hui Tez Ukhadi Ukhdi Si Saans
Aakhien Chup Mein Bhi Chuptanhai Gaa Rahi Thi
Bayaan Kar Sake Jo Mohabbat
Kaha Se Laata Mein Woh Aawaaz
Phir Ek Din Mila Mouka Unse Dosti Karne Ka
Phir Shooroo Huye Silsile
Aur Likha Gaya Fasana Mohabbat Ka
Dhire-Dhire Unke Kareeb Mein Jaata Raha
Anjani Baaton Se Unko Samjhata Raha
Ek Din Usne Mujhetanhai Mein Bulaya
Laga Uneh Aaj Mohabbat Ka Matlab Samajh Aaya
Yeh To Humein Bhi Yaqeen Tha
Ke Dil Mein Koi Rehta Hai Unke
Par Waha Mein Nahi
Kisi Aur Ka Basera Tha
Aasooyon Se Bhariaakhon Ko Chupata Kaha
Aakhir Apna Pyaar Jo Khoya
Dil Tuttadhal Gayi Ishq Ki Shyam
Us Raat Mere Mukkadar Pe Aasma Bhi Roya
Reh-Reh Kar Unki Yaad Har Raat Tadpati Hai
Bas Ek Hi Baat Rooh Keh Pati Hai
Jaha Khush Hone Ki Koshish Karta Hoon Mein
Wahi Aasooyon Ki Barkha Chali Aati Hai
Aaj Phir Gaya Tha Unse Milne
Apne Aur Apne Dosto Ke Hoth Silne
Ghar Mein Uske Aaj Sagai Thi Uski
Jaha Bhi Rahe Khus Rahe Dua Di Dilne