Kuch Dhoondhtee Huee In Ankhon Ne Us Din Zindagi Ko Chakha Tha
Peele Libas Mein Khili Huee Si Tum
Aur Shayad Kuch Dhoondhtee Huee Si Tumhari Bhi Ankhen-Â…
Un Do Chaar Palon Mein Hi Maine Zindagi Bitayee Thee
Jab Meri Ankhon Ne Tumharee Ankhon Ko Chua Tha!
Aaj Phir Vahi Zindagi Maine Ek Pal Mein Bitayee Hai
Tumharee Ankhon Ne Meri Ankhon Ko Aaj Phir Kuch Naye Khwaab Diye Hain!
Darta Hoon Main Par Is Khwaab Ke Tootne Ke Khayaal Se Bhi-Â…
Har Baar Ki Tarah Kya Is Baar Bhi?
Dar, Jo Pahle Nahin Tha Kuch Khone Ka-Â…
Aaj Khayal Bankar Meri Ankhon Ko Sataata Hai!
Himmat To Hai Mujhmein Zamaane Se Lad Jaane Ki
Hausla Hai Har Haar Ke Baad Uth Jaane Ka
Par Darta Hoon Main Ab Is Khwaab Ke Toot Jaane Se-Â…
Itne Naajuk Phool Hain Ye Kya Pattharon Mein Khil Payenge
Sheeshe Ke Ye Khwaab Pattharon Se Chaknachoor Ho Jayenge-Â…
Aur Phir Hai Bhi To Ye Ek Khwaab Hi Naa
Sirf Ek Adad Khwaab-Â…jo Jinda Hua Tha Us Pal