Koocha Ba Koocha Dar-Badar Kab Se Bhatuk Raha Hai Dil
Hum Ko Bhula Ke Rah Wo Apni Dagar Chala Gaya
Bharkaain Meri Pyaas Ko Aksar Teri Aankhain
Sehra Mera Chehra Hai Samandar Teri Aankhain
Phir Kon Bhala Daad-E-Tabussam Unhain Day Ga
Roain Gi Bohot Mujh Say Bicher Ker Teri Aankhain
Bojhal Nazar Aati Hain Bazahir Mujhay Lakin
Khulti Hain Bohot Dil Main Uttar Ker Teri Aankhain
Ab Tak Meri Yaadoon Say Mitaaye Nahi Mitta
Bheegi Huwi Ik Shaam Ka Manzar Teri Aankhain
Mumkin Ho To Ik Taza Ghazal Or Bhi Keh Loon
Phir Orrh Na Lain Khawaab Ki Chadar Teri Aankhain
Yaan Daikhtay Rehna Ussay Acha Nahi Muhsin
Wo Kaanch Ka Paikar Hai To Patthar Teri Aankhain.