Koi Surat Mere In Ahnkhon Main Jachta Nahi Hai
Jahan Unke Woh Khoobsurat Hansi Ke Surat Basi Hoi
Jahan Un Ke Dil Fareb Adayen Aur Muskaan Hai
Aaj Woh Ankhon Ko Bund Kerne Ko Dil Nahi Ker Raha Hai
Kahi Woh Khawab Na Khojaye Jo Khuli Ankh Se Dekha Hai
Woh Qatilana Muskaan Par To Hum Hogaye Hai Qurbaan
Par Main Apane Dil Ko Kaise Samjhavoon Ke Yeh Khawab
Sach Nahi Hone Wala Hai , Aur Woh Shaks Ki Ahat Hum
Mehsoos Kerte Hai Par Woh Sirif Ahat Ka Ghoomaan Hi Hai
Khawab To Khawab Hai Bas Haqeeqt Ko Koun Dikhalaye
Hum To Hogaye Diwane Un Ke Her Ada Par Her Baat Par
Kis Se Kahen Hum Dastane Khawab Ko, Aur Un Ke Khayalon
Main Khojane Ko Hi Dil Kare Aur Woh Hume Miljaye
Un Ke Labon Ke Muskaan Ban Ne Ki Kismat Hojaye Hamari
Un Ke Zindagi Banjane Ki Dawat Miljaye Hum Ko
In Ankho Ki Khawab Sach Hojaye Aur Hum Un Main Khojaye