Koee Zanjeer Ho Is Ko Muhabbat Toar Sakti Hai
Jidhar Chahe Yeh Baange Sindagi Ki Moar Sakti Hai
Mohabbat Roak Sakti Hai Kisi Girte Sitaare Ko
Kisi Jalte Sharare Ko, Fana Ke Istua Re Ko

Yeh Chakna Choor Aayeine Ki Kirchen Joar Sakti Hai
Koee Zanjeer Ho Is Ko Mohabbat Toar Sakti Hai
Mohabbat Per Kisi Bhi Rasm Ka Pehra Naheen Chalta
Kisi Aamir Kisi Sultan Ka Sikka Naheen Chalta
Yeh Her Zindaan Ki Andhi Salakhen Toar Sakti Hai
Koee Zanjeer Ho Is Ko Mohabbat Toar Sakti Hai
Yeh Jab Chahe Kisi Bhi Khuaab Ko Taabeer Mil Jaaye
Kisi Raste Mein Rasta Poochti Taqdeer Mil Jaaye
Samay Ke Tez Dhare Ko Yeh Peeche Choar Sakti Hai
Koee Zanjeer Ho Is Ko Mohabbat Toar Sakti Hai