Kitaab-E-Dill Pe Likhey The Kitnay Hi Afsaanay
Kuch Qissay Naye The Aur Kuch Bersoon Puraanay
Kuch Un Ka Zikr Jo Kabhi Rug-E-Jaan Se Thay Qareeb
Kuch Wo Jo Aaj Bhi Lagtay Hain Begaanay
Kaash Aisi Koi Rut Koi Mausam Aaye
Khushiyoon Bhare Geet Hum Lagein Gungunaanay
Aaj Bhee Dill Meraa Is Aas Pe Zindaa Hain
Aik Roz To Aayein Gay Wo Hum Ko Mananay
Safha-E-Dill Ko Koi Hamaare Perh Ker Dekhay
Khoon-E-Jiger Se Likhay Hain Sab Afsaanay
Guzraa Huaa Zamana Bhulaa Du Zehn Se Apnay
Aatay Nahi Hain Kionkeh Beetay Huay Zamaanay