Kisi Rah Pe Kabhi Phir Sath Chalna Nahi Hoga
Tu Chalee Gayi Thee Iss Tarah Jaise
Ab Kabhi Milna Nahi Hoga
Tune Hi Bataya Tha
Chand Ab Meree Chhat Pe Ugega Nahee
Aftab Bhee Kabnhee Ab Dikhega Nahee
Umr Tanha Basar Karne Kaa Waqt Hain
Too Ekk Khat Bhi Likhega Nahee
Aftab Kabhee Dikhega Nahee
Or Main Janata Tha Pyar
Pyar Chand Ya Soorajh Nahee
Jo Asman Ke Khet Main Anzar Ayega
Pyaar Sagar Kee Lahar Hain
Lahar Chalee Jayegee
Lahar Kaa Pyaar Namee Ban Ke
Sahil Kee Ret Main Bhar Jayega
Pyaar Dil Ke Har Khet Main Nazar Ayega
Tere Jane Ke Baad Bhee Tujh Se Pyar Karata Raha
Ekk Sahil Kar Liya Khud Ko
Aur Intazar Karata Raha
Aur Ekk Lahar Ki Tarah Too Phir Mujhe
Choone Chalee Ayee Hain
Mere Andar Toone Phir Ekk
Bheegee See Jagah Banayee Hain
Ekk Ekk Pal Jo Ab Milta Hain
Teree Pak Wafayon Kaa Eenam Hain
Mera Ye Wazood Aur Kuch Bhee Nahee
Teree Sadik Duyaon Ka Nam Hai
Meree Chhat Par Chand Sooraj Na Ugen Na Sahee
Mere Seene Main Teree
Laharon Ke Panee Ko Rahana Hoga
Din Bhar Lahar Kaheen Bhee Rahe
Sham Ko Sahil Tak Bahna Hoga
Bar Bar Door Jayegee Too
Main Laut Ayee Hoon Mere Sagar
Bar Bar Kahana Hoga
Din Bhar Lahar Kaheen Bhi Rahe
Sham Ko Sahil Tak Bahna Hoga