Kisi Ki Fatah Ka Is Waastay Saaman Nahin Hotay
Keh Hum Barbaad Hotay Hain Magar Weeran Nahin Hotay
Meri Aankhon Main Aksar Jhaankta Hay Us Ko Batlaao
Jo Aanso Dil Main Girtay Hain Ser-E Miygaan Nahin Hotay
Tery Dharty Pay Har Dukh Kay Liay Tayyar Rehtay Hain
Kisi Bhi Haadsay Per Log Ab Hayraan Nahin Hotay
Ghareeb-E-Shehr Kay Dar Par To Ik Dastak Hi Kaafi Hay
Jahan Dehleez Hoti Hay Wahan Darban Nahin Hotay
Wahan Kalian Nahin Khiltin Wahan Khushboo Nahin Hoti
Jahan Maktal Nahin Sajtay Jahan Zindan Nahin Hotay
Jab Itni Ayriaan Ragreen Koi Chashma Nahin Phoota
To Phir Kis Kay Liay Ho Jaain Haum Kurban Nahin Hotay