Kinaro Ka Mukaddar Hai
Kii Ye Kabhi Milte Nahi,
Hum Aaise Hi Do Khade
In Rahoon Pe Alag-Alag
Ye Laharon Ka Aana,
Ye Lahron Ka Jaana,
Kya Badal Dega,
Kinaro Ke Is Mukaddar Ko,
Ye Mohabbat Ki Kasme,
Ye Ibadat Ki Rashme,
Kya Palat Degi,
Haantho Ki In Lakeeron Ko.
Hum Aaise Hi Do Khade,
In Rahon Pe Tanha Akele.
Dekho Jo Kabhi Mein Udhar,
Paaoo Idhar Hi Uski Nazareen.
Ye Sooni Aankho Ka Milna
Phir Is Dil Ka Dhadakna,
Kya Bhar Payega Kabhi,
Is Ishq Ke Gahre Ghaavo Ko.
Is Dil Me Uthta Mano,
Ek Thoofan Aaisi Baaton Ka.
Nahi Koi Sahil Jiska,
Ye Sagar Aaise Aansoon Ka.
Koi Mel Nahi Sahil Se Jiska
Ye Jeevan Aaisi Dhara Hai.
Kinaro Ki Kare Kya Baat Sanam
Judaai Mukaddar Hamara Hai.!!