Khuda Ke Haatho Ki Lakiro Se Tujhe Churaaya Hai ,
Aaj Hamne Chaand Ki Hasti Pe Sawaal Uthaaya Hai.
Raat Bhar Tera Chahra Dekha Kiya Hamne Aasman Mai,
Phir Vohi Subha Ko Baago Mai Gulaab Ban K Muskuaaya Hai.
Dur Kahi Xitij Par Sunhari Dhup Ka Jo Manzar Hai ,
Hawaon Ne Tere Dupataa Jo Udaaya Hai.
Tere Jamaal Se Hi Roshan Hai Kaynat Meri,
Teri Parchhayi Se Bhi Hamne Dil Lagaaya Hai.
Jazbaat Mere Tere Dil Se Takraak Bikhar Jate Hai,
Tune Ishq Ka Tufam Bhayanak Sa Jo Uthaaya Hai.
Mudat Si Hui Khwabo Mai Bhi Tujhe Mile Hue,
Nindo Ne Saath Tere Aane Se Chhudaya Hai
Khud K Rahne K Liye Bhi Dil Mai Jagah Hi Nahi,
Pyaar Nas Nas Mai Is Kadar Tera Samaaya Hai.
Kisi Aur Ko Bhi Dekhu To Nazar Aati Hai Tu Hi Tu,
Akhiyo K Jharokho Mai Kuch Is Kadar Se Tujhe Bithaya Hai.
Padhne Vaalo K Jazbaat Machal Jaaye Is Kadar
Shabda Bana K Har Nazam Mai Tujhe Chhupaya Hai.
Roshan Kar Di Tune Meri Dusre Janam Ki Safar
Apne Haatho Se Meri Majaar Pe Diya Jo Tune Jalaaya Hai.
Kayamat Tak Mai Intzaar Karunga Tera
Dil Pe Tere Vaado Ka Asar Gahra Sa Jo Chhaya Hai.
Tujhe Na Paane Ko Koi Ranjish-E-Gam Bhi Nahi,
Pyaar Ruh Ne Meri Is Kadar Nibhaaya Hai.