Khuda Kare Ke Meri Bas Yehi Ek Aakhri Tamanna Puri Ho Jaye,
Zindagi Ki Kashti Hai Talatum Mein, Teri Chahat Ka Kinara Mil Jaye,
Chaand Utar Aata Hai Zameen Ko Chumne Chandni Bankar,
Tumhara Pyaar Bhi Meri Rooh Mein Bas Yunhi Utar Jaye,

Gam Ki Kaali Raat Kitni Hi Gehri Mere Ird Gird Aye Sanam,
Ladkhadaye Jo Qadam Tareeqiyon Mein, Tumhara Saaya Hamein Sambhaal Jaye,
Bikhra Hui Kali Thi Main Hawa Ke Jhonke Se Bhi Chot Lagti Thi,
Muskurane Lage Hai Har Zakhm Mere, Marham Banke Jab Se Tum Aaye,
Sadayein Laut Aati Thi Meri Is Patharke Sheher Pathar Se Takrake,
Ab Lagta Hai Jaise Har Saans Meri Koi Khobsurat Nagma Khoobsurat Gaaye,
Ab Koi Aur Kyon Dekhe Tumhe, Koi Aur Kyon Kare Baat Tumse,
Yehi Tamanna Hai Ke Tumhe Har Ghadi Har Pal Bas Hum Nazar Aaye,
Kabhi To Yun Paas Aao Sanam Dil Pe Qaaboo Kho Baithe,
Saanson Ki Raftaar Mein Koi Halchal Si Mach Jaaye,
Sune Ek Dusre Ki Dhadkanein Dhadkano Se Bas Ab,
Itni Badh Jaye Nazdikiyan Ke Saaya Bhi Na Darmiyaan Aaye,
Ye Baarish Ki Boondein Jo Chhue Mere Gaalon Ko,
Aisa Lage Koi Bheegi Si Chhuwan Tumhari Hamein Bhigo Jaaye,
Kuch Ehsaas-O-Jazbaat Lete Hai Angdaiyan Kayi Sadiyon Se,
Na Jaane Kyon In Ehsaason Ko Hum Alfaaz Na De Paaye,
Khol Diya Hai Humne Palkon Ka Darwaza, Aankhon Mein Dekho Jaanam,
In Mein Na Jaane Kitne Khwabon Ke Mehmaan Basne Aaye,
Tumhare Aqs Ko Hum Apni Aagosh Mein Sametna Chahe,
Samne Jo Tumhe Paye To Tumse Nazrein Bhi Churayein, Sharmaye,
Dekhe Tumhe Jaise Kayi Zamane Guzar Gaye, Ab To Aa Jao,
Bechain Si, Madhosh Si In Aarzuon Ko Kuch To Qarar Aa Jaye,
Tum Zindagi Mein Aa Gaye To Badgumaan Phira Karenge Hum Bhi,
Bano Jo Tum Humsafar Mere Khoye Hue Raston Ko Manzil Mil Jaye,
Thak Ke Choor Ho Gayi Hun, Mar Mar Ke Jee Li Zindagi Bahut,
Mera Wajood Ab Tumhare Pyaar Ki Chhanv Mein Sustana Chahe,
Tumse Juda Hone Ke Khayal Se Hi Kaanp Jaati Hai Har Saans Meri,
Ab Saanson Ke Darmiyan Bhi Koi Fasla Na Rahe, Aao Aaj Ek Dusre Mein Kuch Yun Sama Jaye…* * * * *