Kaliyan Bhi Daikh Key Kehney Lagen Un Ka Husan-O-Jamal
Kaisa Suhana Aaya Hai Baharon Ka Mausam Ab Kay Saal
Itni Masoomiyat To Kabhi Pehlay Nazar Say Na Guzri The
Pariyoun Nay Bhi Aakhir Rukh Pay Apnay Perday Liye Daal
Ghata Bhi Barasti Nahi Shikwa Ker Rahi Hai Yehi Kay Ab
Kehdo Zara Us Nazneen Say Kay Zulfon Ko Lay Sambhaal
Husan Hi Nahin Us Ki Bataon Main Kiya Mehsoos Sitaron Ney
Kay Us Ki Fitrat Hai Kuch Alag Us Ki Adat Hai Bay Misaal
Kaisay Kahain Kis Tarah Shaiki Khud Ko Sambhalay Huay Hai
Lerkhara Rahay Hai Qadam To Kabhi Behek Rahi Hai Chaal