Kal Rah Chalte, Yunhi Guzarte
Ek Aankh Dekha, Ek Aankh Dhalte
Bahut Khoob Tha Woh, Dilkash Nazaara
Bikhri Si Zulfein, Daman Tumhara
Kajraari Aankhein, Milakar Jhukhaana
Lo Phir Yaad Aaya, Tera Muskuraana
Nazuk Labon Ka, Zara Sa Sisakna
Bina Kuch Bhi Bole, Mera Behaknaa…..
Woh Ek Do Ghadi Ka, Tera Mujhse Milna
Halke Dabe Paaon, Tere Saath Chalna
Duppatte Ke Kone, Pe Banti Thi Silwat
Mere Aane Ki Gar, Hoti Thi Aahat
Kya Hota Hai Aab Bhi, Kahi Koi Ghayal
Chanakti Hai Jab Bhi, Teri Gori Payal…..
Hai Payal Ki Bhi Kuch, Ajab Si Kahaani
Dil Ki Yeh Halat, Dil Ki Zubaani
Tere Dar Pe Bhi Tha, Mera Aana Jaane
Mera Kuch Na Kehna, Na Tera Bataana
Kaha Phirse Aayi, Yeh Halki Si Baarish
Saawan Mein Bhigi, Har Ek Kwaaish…..
Woh Hasrat Jise Maine, Aab Tak Na Jaana
Teri Tadap Ne, Kiya Hai Deewaana
Kaha Phirse Aayi, Yeh Halki Si Baarish
Saawan Mein Bhigi, Har Ek Kwaaish
Meri Kwaaishon Ka, Kaha Hai Thikaana
Tera Mere Sapno Mein, Yun Aana Jaana
Woh Hasrat Jise Maine, Aab Tak Na Jaana
Teri Tadap Ne Phir, Kiya Hai Deewaana
Nazuk Labon Ka, Zara Sa Sisakna
Bina Kuch Bhi Bole, Mera Behaknaa
Kya Hota Hai Aab Bhi, Kahi Koi Ghayal
Chanakti Hai Jab Bhi, Teri Gori Payal
Kaha Phirse Aayi, Yeh Halki Si Baarish
Saawan Mein Bhigi, Har Ek Kwaaish.