Kaise Paaye Koi Khaali Isme Basne Ko,
Abhi Dil Ko Us Musaafir Ne Makaan Rakha Hai.
Chehre Pe Silvatein Aur Lafzon Mein Bekaraari,
Humne Kab Se Haal-E-Dil Ko Us Pe Bayaan Rakha Hai.
Har Khwaab Ka Kuchh Tez Tha Tasavvur Yun Ke,
Ab Tak Ek Zakhm Ne Dil Pe Nishaan Rakha Hai.
Gulon Ka Rang Bhi Aankhon Ko Mubaarak Ab Nahi,
Ek Muddaat Se Apna Veeraan Gulistaan Rakha Hai.
Unka Dil Aur Dhadkanein Unki Kabhi Mere Liye?
Ab To Yaadon Mein Bhi Kuchh Pal Ka Mehmaan Rakha Hai.
Bah Jaaye Na Kahin Sailaab Ashkon Ka,
Andar Apne Daba Bohat Maine Toofaan Rakha Hai.
Kuchh Dard Unke Bhi Mere Naam Honge Zaroor,
Waqt Ne Jo Usko Bhi Mujhpe Meharbaan Rakha Hai.
Zakhm Pe Auron Ke Marham Ki Khwahish Meri,
Kuchh Iraadon Ne Mujhme Abhi Insaan Rakha Hai.
Kuchh Kismat Ki Berukhi Aur Kuchh Maine Bhi,
Bujha Kar Ab Dil Mein Har Armaan Rakha Hai.
Mushkilein Raaston Ki Aur Sirf -Ë—tanha-‘ Main,
Par Waadon Ne Mujhe Har Lamha Jawan Rakha Hai.