Kai Badnamia’n Hoti , Kai Ilzam Sar Jate,
Magar Ae Kash Hum Dono’n Hamee’n Dono Pe Mar Jate,
Agar Tum Khab Hote To Tumhe Aankho’n Mai Rakkh Lete,
Na Goya Neend Se Phir Jagte Hatta Ke Marr Jate,
Agar Hum Roshni Hote To Phir Ahsas Ki Lau Se,
Zamee’n Ko Chhorh Dete Mill Ke Dono’n Chand Par Jate,
Agar Tum Phool Hote To Tumhari Khushboo Mein Rehte,
Samandar Ki Tarah Hote To Ham Tum Mein Utar Jate,
Hamarey Khal-O-Khadd Kaise Hain Ye Ab Tak Nahi Dekha,
Agar Tum Aaina Hote To Hamm Kitne Sanwar Jate,
Tumhare Husn Pe Pehra Hamare Ishq Ka Hota,
Jwa’n Rakhte Sada Tum Ko Agar Lamhe Theher Jate,
Agar Sooraj Hi Hote To Phir Apni Dhoop Ki Surat,
Wajood-E-Yaar Ki Dharti Pe Shahi Hum Bikhar Jate.

By Yaseen Shahi