Kahan Ke Hain Aji Chodo Ajab Se Kaam Karte Hain
Ki Hum To Andhey Logon Se Rangon Ki Baat Karte Hain
Ujalon Main Tumhe Doondhe Pukarain Tumko Khawabon Main
Tumhare Chaahne Wale Kahan Aaram Karte Hain
Mohabbat‚  Phool Khushiyan Aur Duayen Potli Bhar Ke
Hum Apne Dil Ke Ghar Mein Bas Yahi Samaan Rakhtey Hain
Wo Ras Ka Ek Samander Hai Bahut Nazuk Hai Madak Hai
Kyun Aise Phool Par Udta Bhramar Badnaam Karte Hain
Tum Aise Dekhte Kya Ho Kahe Hairan Hote Ho
Ki Budhe Ho Gaye”Neeraj” Magar Armaan Rakhte Hain