Kabhi Yun Bhee To Ho Hum Ghar Se Nikle Aur Unka Makaan Aaye
Guzre Lamhon Mein Khoyi Hui Daastaan Aaye
Simte Honthon Pe *Makhmoor Koi Armaan Aaye
Mere Baazu Mein Liptaa Mera **Jaanaan Aaye
*Intoxicated
**Beloved
Kabhi Yun Bhee To Ho Udhar Nazren Jhuke, Udhar Nazren Jhuke
Idhar Hatheli Par Nikal Ke Jaan Aaye
*Harf-E-Sad-Talab Par **Jazbaa-E-Imaan Aaye
Teri Tareef Mein Likha Mera Deewaan Aaye
Arz Pe Arz Karun Koi To ***Kaamraan Aaye
Hum Ghar Se Nikle Aur
Kabhi Yun Bhee To Ho
*Word Describing Thousand Desires
**Abiding Faith
***Blessed
Kabhi Yun Bhi To Ho Le Chale Hum Unhe Ekk Aisi *Kehkashaan Mein
Laut Aane Kaa Jaha Se Naa Koi Farmaan Aaye
Dum Bhar Ke Liye Aisa Ek **Paimaan Aaye
Jee Bhar Ke Jeeyun Aisa Ek ***Jahaan Aaye