Kabhi Kabhi Yaad Aathi Hai
Woh Pal Aaj Bhi Dil Ko Sithathey Hai
Uski Choti Choti Se Baathon Par Pyar Atha Tha
Uski Galathe’on Par Bhi Mujhi Haasi Athi The
Uski Ek Nazaar Seedi Dil Ko Choo Jathe The
Uska Daar Se Ana Aur Kaan Pakar Ke Maafi Mangna Bhi Pyara Sa Andaaz Tha
Mere Rootne Par, Mujhe Haasana
Mere Hasne Par, Kud Ke Chehre Par Muskaan Ana
Kadam Zameen Par Baad Mein Parth’ey
Woh Phoolo Ke Baarish Asmaan Se Karth’ey
Kya Andaaz Tha Uske Pyar Karne Ka
Mere Haath Chor Kar Chale Jana
Mere Saawalo Ka Jawaab Na Deena
Mere Ankhon Mein Ansoo Laana
Mere Taraf Ek Bar Dekh’kar Mur Jana
Zindagi Nibhaaney Ka Wada Karke Tor Deena
Mujhe Aur Ke Liye Ek Pal Mein Chor Deena
Akhele Ek Sunsaan Jaga Mein
Raat Ke Andere Mein…
Ansoo’on Se Bharee Ankoon Ka Beh’na
Barish Ke Boond’oh Ka Jism Par Girna
Saardi Mein Puree Raat Guzarna
Yeh Bhi Ek Andaaz Tha Uske Pyar Ka.