Kabhee-Kabhee Lagta Hai…………
Yun Hi Bewazah Si Beet Rahi Hai Zindagi………..
Jaise Ek Hi Dhuri, Ek Hi Samye Ke Pahiye Par Bina Raftar Si Beh Rahi Hai Zindagi…….
Har Mahine Ki Pehli Tarikh Aate Hi Tum Kehte Ho………
Jo Smaan Lana Hai Usko List Bana Do…….
Kaun Si “Daal”Kitne “Chawal” Aur Kitna “Aata “Lana Hai Yeh Bata Do…….
Kis Ki Is Mahine Kya Jarurt Hai Yeh Bhi Batla Do………

Bas Isi Treah Mahine Dar Mahine Beet Rahi Hai Zindagi…………
In Sab Se Yeh Gher Toh Bhara Bhara Lagta Hai…….
Par Na Jane Kyu Koi “Man Ka Kona” Reeta Sa Lagta Hai………
Aao , Priye……Is Baar Kuch Nayi Si List Banaye……..
Is Nayi List Ke Saaman Se Apni Uljhati Si Zindagi Ko Kuch Sulajaye…..
Is Nayi List Ke Saaman Mein Sabse Pehle…….
Ek Tukda Assman Ka Lana……
Jis Mein Ham Fir Se Dur Dur Tak Pyar Ki Ek Nayi Udaan Bhar Sake……
Lana Ek Dhup Ka Tukda……..
Jiski Garmi Se Ham Dono Apni Thandi Hoti “Bhawanao” Ko Garma Sake…….
Ek Tukda Tazzi Hawa Ka Bhi Lana………
Jis Se Ham Apni Pardusheet Hoti Saanso Ko Fir Se Mehka Sake………
Aur Suno, Ho Sake Toh Thode Se Rang Indar-Dhanush Ke Le Aana….
Jis Se Ham Apni Badrang Hoti Zindagi Ko Naye Rang De Sake…….
Janti Hun…..”.Tum Kahoge Ki In Sab Cheego Se Gher Nahi Chalta..
Assamn Ka Tukda Tan Nahi Dhakata……
Dhup Ki Garmi Se Pat Nahi Bharta…….
Aur Tazi HawaWoh Kaha Ab Milti Hai……….?
Indar-Dhanush Ke Rang Bhi Ab Dikhate Hai Kam………
Par Dekho Koshish Karke Ek Baar Toh Yeh Sab Jarur Lana…..
Taki Bewazah Ubati . Ek Hi Dhuri Par Ghumati Is Zindagi Ko…….
Fir Se Ek Naya Rang, Ek Madhur Sangeet Ki Laye De Sake………….