Kabhe Yeh It’tefaaq Bhe Hota Main Jis Raah Se Guzarte
Woh Bhe Usee Raah Se Guzarta Aur Jis Ghar Usay Hai Jaana
Us Ghar Ka Pata Woh Aakay Mujhsay Poochta
Aur Jis Patay Pe Usay Hai Jaana Woh Mere Hi Ghar Ka Pata Hota
Kabhe Yeh It’tefaaq Bhe Hota Merii Woh Kitaab Jismein Main-Nay
Intezaar Mein Uskay Likh Rakhi Hai Nazmen,
Pannay Us Kitaab Ke Meray Hath Se Choot Jatay
Chootkar Woh Pannay Hawa Mein Lagtay Urhnay
Main Un Pannon Ko Pakarnay Unkay Peechhay Daur Jaate
Unhein Pakaratay Sametatay Us Jagaah Pe Pahunch Jaate
Jahaan Woh Mujhko Khara Huwa Milta
Kabhee Yeh It’tefaaq Bhee Hota