Kaali Si Ek Raat Thi Dil Mein Teri Yaad Thi
Tera Tasawwur Tha Mera Humraahi Labon Pe Ek Halki Si Tabassum
Muskuraa Rahi Thi Dharkanon Ne Halka Sa
Ek Geet Gungunaaya Chaandani Feeki Hui
Chaand Sharmaaya Aankhon Ne Dhundhli Si Teri Tasweer Buni
Nazron Ne Use Pyaar Se Sehlaaya
Zehn Mein Lag Gayi Khayaalon Ki Nayi Mehfil
Machal Pade Armaan, Paane Ko Apni Manzil
Hawaa Lehraayi Khushboo Chamki
Fiza Khil Utthi Baadlaon Ne Khushi Ki Sargam Barsaayi
Fir Achaanak Hawaa Ne Kaan Mein
Chupke Se Kuchh Kaha Tere Aane Ki Aahat Se Saara Aalam
Mehak Uthha, Naach Uttha, Jhoom Uttha
Fir Jaise Raat Mein Kayaamat Hi Aa Gayi
Paayal Chhankaati Hui Fir Tu Aa Gayi
Tera Husn Tha Parde Mein
Tera Chehra Tha Ghoonghat Mein Fir Bhi
Raushan Thi Kaaya Teri
Apne Hi Noor Se Tu Khud Hi Sharmaa Gayi
Fir Chaaron Taraf Ek Noor Jagmagaaya
Tu Ne Chehre Se Apne Ghoonghat Hataaya
Chaandani Feeki Padi Chaand Sharmaaya
Maine Dheere Se Teri Taraf Haath Barhaaya Aur Fir
Khwaab Mera Toot Gaya Sacchaayi Saamne Aayi
Dil Ghabraaya Soona Samaa
Mausam Ka Zor Sard Hawaa
Berahem Chaand Wp Bhi Toota Hua Aadha
Bedard Taare Haste Hue
Beasar Khuda Baadlon Se Jhaankta
Taskeen Se Bahra Zehn Aur Dil Mein