Junhi Zikr Unka Sar-E-Bazm Cha Gaya
Har Lafz Meri Ghazal Ka Banker Haya Sharma Gaya
Khil Utha Daal Pe Ik Phool Kanwal Ka
Yeh Kaisa Amal Gulshan Woh Ik Gul Samjha Gaya
Hoker Mukhatib Kisi Aur Se Unke Zeir-E-Sama’t Itna Kiya
Pehli Baar In Dharaknon Ko Koi Banke Dil Dharka Gaya
(Zeir-E-Sama’t=sunaana)
Achanak Lagne Lagi Duniya Buhat Haseen
Waqt-E-Rukhsat Hal-E-Dil Jab Apna Woh Bata Gaya
Dekh Tere Ehl-E-Emaan Hone K Bawajood Ashar
Ah! Ik Kaafir Pe Dil Aagaaya
Uski Ankhon Mein Koi Jadoo Hi Tha
Dekhte Hi Dekhte Jo Cha Gaya
Pehle Ata Tha Koi Jhonka Hawa Ka Banker
Gehre Badal Ki Tarhan Ab Toh Mere Dilpe Chah Gaya
Woh Jo Ik Phool Khilaya Tha Chaman Mein Tumne
Gardish-E-Ayyam Mein Afsos Woh Bhi Kamhla Gaya
Hoshmandi Mein Na Kuch Paya Gaya
Bekhudi Mein Gham Ka Sarmaya Gaya
Siwaye Uske Har Baat Bemayeni Hogayi
Woh Harf-E-Akhir Ki Tarahan Dil Mein Sama Gaya
Jo Kaha Karte They Hum Hain Sada Ko Tere
Kucch Qadam Sath Chal Ke Jo Ghabra Gaya
Humne Deep Jalaye They Muhabbaton Ke Ashar
Woh Nafraton K Charagh Jala Gaya
Mein Ne Poochi Waja Dard Ki Toh Kehne Lagey
Ah! Ik Kaafir Pe Dil Aagaaya